Tuesday, February 14, 2017

Arziyaan

Kya maangte ho tum butkade[temple] mai aankhe moonde,
Khuda humme bhi hai ek, dekhte tum to dedaar hota

Bheji thi tumne jo falak mai arziyaa,
vo zameen pe darz karte to na yeh intezaar hota

Ghar

Is ghar mai reh ke mai us ghar ko dhoondta hu

Subha ki chai pe mai chidiya ke chehekne ki awaaj ko dhondta hu

dopeher ki jhapki mai un do jhagadti awaazo ko dhondta hu

Rang birange khusgawar mausam ke bech mai narm sehej hawaao ko dhondta hu

Is ghar mai reh ke mai us ghar ko dhoondta hu

Mehekte pakwaano mai un haantho ke zayke ko dhondta hu

Shyam mai darwaze ke tala pe mai doorbell pe aai us muskaan ko dhondta hu

Raat ki khamoshi me mai un khraanto ki jugalbadi ko dhondta hu

Is ghar mai reh ke mai us ghar ko dhondta hu.