Friday, December 30, 2016

Please Rate Me 5 Star

Rishton ko hum taufon mai napne lage hai
umeedon ko ek shikast pe katne lage hai,

Sailaabon se hota hai zindagi ka ilm
hum choti-choti dewaarein tapne lage hai,

apni umr de deta hai pedh musafiron ko
hum kharoncho pe dard ka raag alaapne lage hai,

khuda ne bheja tha humein kaynat parkhne
hum zindagi ke tazurbon ko panch sitaron mai napne lage hai

Tuesday, December 27, 2016

Bhari(crowded) Mehfil

Aaj mann kuch udaas hai
na jaane kaun aas paas hai,

hawa mai ek jaani se khushboo hai
na jaane isme kya khaas hai

jubaan pe zaika rehta hai uska
rooh ko par abhi kuch pyaas hai

baitha hu bhari mehfil mai
na jaane sab ke chehre kyu udaas hai,

Aine ki diwaaren hai is mehfil mai,
bas mai aur mere aks(reflections) hi aas-paas hai

(not exactly but first two lines are adapted from Gulzar's nazm)

Chai ☕️

Aaj fir humne chai banai,
Kuch lamho ko rango ke sang ubala,
Chaana pyale Mai kuch khushnuma si yaadon ko,
Har ghunt pe naye naye kisson ki athkheliya Li humne,
Pyala Khali hote hote ek pitaare(box) ko kuch yaadon ke khajane se bhar diya humne.

Sunday, December 11, 2016

Khoj

Shyame Nadi kinare bhete pani se uthati hawaon ke saath guzar jati hai,
Meelo ka rasta ek khyaal ki sawari pe nikal jata hai,
Kuch der therta hai yeh man ek pedh ki chaon mai,
agle pal dhoop mai kisi aur pedh ki talash mai nikal jata hai
Har kadam pe jawab mangati meri paheliyon pe dhool ki ek parat jami hai,
ab jawab itne bator liye hai ki sawalon ki kuch kami hai

Saturday, December 3, 2016

Kayra

Falak par chand kuch adhoora dikhai padta hai, 
Lagta hai tukda uska mere aashiyane ko dastak de raha hai, 

Phool aaj kal apni charam pe khilkhilate hue nahi dihkte, 
Kudrat ne rang samaet rakhe hai unke kisi kali k liye, 

Titliyan apne pankho ka rang chorne lagi hai, 
Jantein hai vo bhi ki ek pari aane ko hai kahi, 

Koyal ke sur aajkal kuch feeke sunai padhte hai,
Ek chidiya ke khikhilane ko awaaz de di hai usne apni, 

Kuch roz se aasmaan me ek tara tim-timata nazar nahi a raha, 
Kisi jugnoo ko apni chandani de k tehelne nikal gaya hai vo,

Ae rab teri khushiyo ke pitara kuch khali dikhai pad raha hai, 
do nanh mutthi mai bhar ke un khushiyo ko koi mere ghar ki aur badh raha hai.

Ankh Micholi

Ek ankh kisi ko bha gaye hum
jaan ke heraani hui,
gustakhi unse par humpe to meherbani hui,
ankh micholi khelte-2 ek aisi dagar pe phauche
ankh khuli to jaan ki ek khoobsurat si nadani hui

Journey

I was struggling to set my soul free
like a leaf battling against the storm,
On my walk to horizon
i heard the vices whispering the path to destination,
each one had to bow down as you came along,
like an onslaught of rain that drenched me with nectar
Uniting us on this path for a voyage to infinite. 

Friday, November 18, 2016

Ek Dor Ki Khani


Ek sira dor ka maine thama tha,
Duja sira usne kass k padka tha,

kichti thi kabhi, to kabhi dheeli padh jati,
Par na tootati thi na girti thi yeh dor,

Bina alfaazo ke mai uska hale-e-dil jaan leta tha,
Mere zakhm bhi uske do lawzo ko marham maan lete thae,

Do siro k darmiyan yeh fasla ek dushwari thi,
Har waqt is dor ko challa (ring) banane ki bekarari thi,

Intezar tha unke sang is jeevan ki dagar pe mil jane ka,
Zindagi ke utaar chadhaav ko haste khelte paar kar jaane ka,

Par Shayad uljhe thae vo zindagi ki kisi kashmakash mai,
Mitaane yeh fasla, karne yeh intezaar khatm, mai chalta raha unki taraf kadam dar kadam

Par manzil pe vo nahi thame hue thae is dor ka sira,
khoonthi se bandh ke yeh dor, vo thame the kisi aaur dor ka sira,

Aanko mai aansu, dil pe patthar rakh ke,
Duja sira band diya tha maine bhi uski khonti pe, 

Chal pada hu fir zindagi ki is dagar pe,
Aate-jate rahenge kai mod, 
par na jaane fir kabhi ulajh payegi in ungaliyo pe koi dor ||


Monday, June 27, 2016

Messi

You wore the blue of the sky, you wore the white of the cloud
You were the brightest star that made the whole sky proud

Heavens sent the Sirius in you to this earth
With a Midas touch you rustle thorough the crowd

You faced the fury of the ocean and storms gave you bout
Tall you stood on the little feet and came out unbowed.

Dejected are the grass laden fields, its not the mist, they are crying out aloud,
But forever they'll find you In the blue of the sky and white of the cloud

Sunday, June 26, 2016

A Conversation

Blades of the grass said to stars " I'm stepped over throughout the day and you are overshined. In the silence of the night we both rise when the powerful put their powers to rest" 

Waterfall

I saw you waving your hair in the sun.
It was a sight of a waterfall with shadow of rain cloud over it.
But unlike your long hair waterfall didn't originate from the scalp of a moon.

Monday, April 11, 2016

Boondon Ka Rang

Yaad hai vo baarish mai pheli baar bheegna,
Jab thithurte hue tumne kas k haath pakda tha,
Ek bijli do jagha giri thi us din,
Suna hai do gul khile thae us jagha,
Baarish ki boondo se to bas bheega tha mai,
Par jo tumhari zulfon se tapki thi,
Rang diya tha usne tumhare rang mai mujhe,
Yeh baarish mujhe geela hi kar pati hai ab,
Jha bijli girti hai waha thoda andhera badh jata hai ab,
Uska rang chutane baarish mai tehelne Nikal jata hu mai ab..

Monday, January 11, 2016

Kaun Hai Yeh Rahaguzar ?

kitna waqt beet gaya is dagar pe yu hi chalte hue,
aeshaas nahi hua kitne sheher peeche chuth gaye,

Is raaah pe akele chalte ek lamaha tanhai ka aeshaas nahi hota,
vo kaun hai jo mere saath chal raha hai par nazar nahi aata

Is raah ke talaab mai jhaank ke yu khilkhilati hai meri khushiya,
ki mano rang phoot pade ho pani pe tael ki boond tapakne se,
Vo kaun hai jo meri khushiyo mai muskurata hai par nazar nahi aata,

Is raah ke paedh ko kandha maan ke sir tika lete hai mere gam,
Ki mano iski shakhaye paani ki tareh seech leti ho mere aansuo ko,
Vo kaun hai jo mere gamo ko baant leta hai par nazar nahi aata,

Is raah ke gaddhe dheemi kar dete hai meri raftaar,
shayad chetawani dete hai sambhal kar chalne ki,
vo kaun hai jo haath thamta hai par nazar nahi aata,

Aata hai vo nazar suraj aur chand ke tale,
jab dekhta hu apni parchai ko is raah par chalte
Yeh rahaguzar hi vo dsot hai jo chalti a rahi hai mere sang kadam dar kadam

aage dekhta hu to ek mod leti nazar aati hai yeh raah,
nazar nahi aata kis aur chal padi hai,
Jis aur bhi chali jaye,
iski mitti ki khusboo meri rooh mai har ghadi hai