Saturday, December 3, 2016

Kayra

Falak par chand kuch adhoora dikhai padta hai, 
Lagta hai tukda uska mere aashiyane ko dastak de raha hai, 

Phool aaj kal apni charam pe khilkhilate hue nahi dihkte, 
Kudrat ne rang samaet rakhe hai unke kisi kali k liye, 

Titliyan apne pankho ka rang chorne lagi hai, 
Jantein hai vo bhi ki ek pari aane ko hai kahi, 

Koyal ke sur aajkal kuch feeke sunai padhte hai,
Ek chidiya ke khikhilane ko awaaz de di hai usne apni, 

Kuch roz se aasmaan me ek tara tim-timata nazar nahi a raha, 
Kisi jugnoo ko apni chandani de k tehelne nikal gaya hai vo,

Ae rab teri khushiyo ke pitara kuch khali dikhai pad raha hai, 
do nanh mutthi mai bhar ke un khushiyo ko koi mere ghar ki aur badh raha hai.

No comments:

Post a Comment