Monday, January 16, 2017

Aadat (Social Media)

Aaya kya vo paigaam jo kisi ne bheja nahi
hume Is talab mai rehne ki aadat ho gai hai,

Yu hi bantatein firte hai har kisi ka kahaa
hume Tark Na karne ki aadat ho gai hai,

kuch andheron ki, kuch ujaalo ki numayishein rehti hai yaha
hume ujalo ki lau mai raakh hone ki aadat ho gai hai,

hai raaste kuch ujade shaharon ko basane ke bhi yaha
hume lekin khudgarz rehne ki aadat ho gai hai,

hai rang-e-hayat do alfazo ki dastak mai bhi
hume zuban ka tagaful karne ki aadat ho gai hai

----------------
khudgarz - selfish
rang-e-hayat - colors of life
tagaful - inconsideration ( used as 'underuse' in last line)




Pariyo Ki duniya - Kayra2

Aaj isme kho jaane do
yeh jo pariyon ki duniya tumhari hai
na darwaza ho nikalne ka
bas itni si hasrat humari hai

do nannhi mutthi khajano se bhari
yeh tumhari baange azaano se badi,

naye kissey tumhari athkheliyon ke
kuch jhumti hui pheliyon ke

ek nannhi choti taron se jadi
lpti jisme khwabo ki ladi

Aaj isme kho jaane do
yeh jo pariyon ki duniya tumhari hai
na darwaza ho nikalne ka
bas itni si hasrat humari hai

do daant tumhare ghileri se bade
ek haar mai jaisey moti ho jade

ro ro ke jo neende todi thi
sunni tum ko ek lori thi

mamool[routine] humari din raaton ke
bas tumse bhari baaton ke

jude jo tumse sapne hai
ab bas yehi humare apne hai

Aaj isme kho jaane do
yeh jo pariyon ki duniya tumhari hai
na darwaza ho nikalne ka
bas itni si hasrat humari hai