Monday, January 16, 2017

Pariyo Ki duniya - Kayra2

Aaj isme kho jaane do
yeh jo pariyon ki duniya tumhari hai
na darwaza ho nikalne ka
bas itni si hasrat humari hai

do nannhi mutthi khajano se bhari
yeh tumhari baange azaano se badi,

naye kissey tumhari athkheliyon ke
kuch jhumti hui pheliyon ke

ek nannhi choti taron se jadi
lpti jisme khwabo ki ladi

Aaj isme kho jaane do
yeh jo pariyon ki duniya tumhari hai
na darwaza ho nikalne ka
bas itni si hasrat humari hai

do daant tumhare ghileri se bade
ek haar mai jaisey moti ho jade

ro ro ke jo neende todi thi
sunni tum ko ek lori thi

mamool[routine] humari din raaton ke
bas tumse bhari baaton ke

jude jo tumse sapne hai
ab bas yehi humare apne hai

Aaj isme kho jaane do
yeh jo pariyon ki duniya tumhari hai
na darwaza ho nikalne ka
bas itni si hasrat humari hai

No comments:

Post a Comment